Bas 2Km Ka Safar
Bahut Udasiyo Bhari Sham Thi
Bo 9 Bajne Ko The. Sab So Chuke The, Ek Meri Hi Room Ki Light On Thi. Mai Itni
Jaldi Sona Nahi cahata Tha, Light Off Karke Na Sone Se acha Tha, Light On
Kareke Jagna, Aur Kuch Sukoon Ke Pal Khojna. Maine Fir Se Apna Laptop On Kar
Liya, Fir Se Laptop Se Ulajhne Lga, Fir Se Facebook Par Apne purane Dosto Ki
Walls Par Bebajh Apni Hazri Di. Bichde Hue Mehboob Ki Band Dewaar Khatkhatai.
Music Player Me Koi Song Dhundne Ki
Kosis Ki Jo Dil Ko Sukoon De. Par In Sab Se Bhi Mann Oob Gaya. 11:20 Ab To Naye
Din Ki Suruaat hone Bali Thi. Maine Beman Apne Laptop Ko Shutdown Ka Command De
Diya, Aur Use Ek Kone Me Rakh Diya. Whatsapp Par Archived Contact Par Nazar
Firai, Ki Sayad Koi Jabab Aya Ho. Par Ye Sab Kahan Hone Bala Tha.
Agli Subh 5 Bje Ghar Me Sabse
Pehle Uthne Bala Aur Raat Ko Der Se Sone Bala, Mai Akela Hi Tha. Subh Jaldi Se
Tyaar Hua, Maa Ne Bhi Nasta Bana Diya Tha. Ajkal Bo Bhi Ye Jaan Chuki Thi Ki
6:10 Tk Mai School Ke Liye Nikal Jaunga. School Me Bhi Sabse Pehle Meri Hi
Cycle Parking Me Ghusti Thi, Aur Unme Nikalne Bali Cycle Sabse Akhiri Meri Hi
Hoti. Class Ke Sare Teacher Aur Ladke Ladkiyan Hairan Rehte the, Ki Jo Ladka
Kabhi Time Par Nahi Ata Ho, Sabse Pehle Ajata Hai. Aur Gumsum Sa Na Jane Kis
Khyal Me Rehta Hai. Na Kisi Se Bolna Na Baat Karna.
Zindgi Kuch Is Tarh Hi Khali
Khali Ho Jaati Hai Sayad, Be Maksad
Jab Dosto Se Doori Bada Li Ho,
Aur Ek Pyara Sa Khoobsurat Sa Rista Bikhar Gaya Ho.
August Ka Mahina Tha. Asmaan
Me Kaale
Ghane Badal Aise Chaye The,
Jaise Unhe Aur
Koi Jagh Mili Hi Na Ho
Barashne Ko. Mai jaldi
Se Nikal Kar Parking Me gaya
Aur Bahut Tezi
Se Cycle Ka Lock Kholne Ki
Kosis Ki, Par Lock
Na Khulne Ki Zid Par Ada Tha.
Sayad Use Koi
Jaldi Nahi Thi Kahin Jane Ki.
Kafi Zor
Ajamaish Ke Baad lock Khula,
Par Itne ME
Zoro Se Barish Hone Lagi. Gate
Se Nikal Kar
Mai Pados Me Lage Ped Ke
Neeche Ruk Gaya,
Na Cahate Hue Bhi Yaad Aya Ki
NaiNA Se
Meri Mulakat Aise Hi Isi Ped
Ke Neeche Hui
Thi. Yun To Hum Ek Hi Class Me
The Lekin Bo
Class Ki Topper Thi Aur Mai
Awaara
Backbencher. Isliye Baatcheet
Ki Koi Bajah
Kabhi Bani Hi Nahi. Us Din Mai
Bahin Barish
Ke Thamne Ka Intezar Karne
Lga, To Dekha
Naina Bhi Bahin Khadi Thi.
Uski Cycle Ki
Chain Utar Gayi Thi. Uski
Cycle Bhi Ziddi Thi,
Aisi Barish Me Dhoka De Diya
tha Usko. Lakh
Kosiso Ke Baad Bhi Chain
Chadne Ka Naam
Nhi Le Rahi Thi.
Are You All Right, Maine Hi
Pucha Tha Pehle.
Han Han I’m Fine, Andaza Nahi Tha Ye Cycle Abhi Dhoka De
Jayegi Aur Barish Itni Tez Ho Jayegi.
Can I Help You Maine Plan Nhi
Kiya Tha Puchna Puch Baitha Tha,
Ha Ho Sakta Hai Usne Hi Kaha
Tha.
Meri Itni Koshiso Ke Bad Bhi,
Ye Nahi Chad Rahi Hai. Ho Sakta Hai Tumhari Hi Bat Maan Le.
Manni To Cahiye, Ab To Apni
Izzat Ka Sawal Hai, Maine Haste Hue Kaha Tha. Kareeb 5 Minute Ke Baad Chain
Chad Gayi.
Usne Kaha Are Isne To Such Me
Tumhari Baat Maan Li.
Meri Baat Nahi Manegi To Fir
Kiski Baat Manegi.
Usne Haste Hue Kaha, Han Par
Darti Hu, Kahin Raste Me Fir Na Utar Jaye.
Usne Adab Se Shukriya Ada
Kiya, Aur Raincoat Pehni Bo Ladki, Apni Cycle Par Sawar Hokar Barish Me Kahin
Gum Ho Gayi.
Bo Thi Naina Se Meri Pehli
Mulakaat. Uske Baad Class Me Ek Hafte Tk Hum Aznabiyo Ki Tarh Hi Milte Rahe.
Naina Se Baat Karne Ka Mauka Hi Nahi Nahi Mila. Bas Usko Aate Jate Dekha Karta
Tha, Kabhi Cafeteria Me Ya Kabhi Paani Ki Tanki Ke Pass. Jab Bhi Pass Se
Guzarte Hum Dono Mushkura Dete The, Anzane Me Hi Dosti Ka Rista Ban Gaya Tha
Hum Dono Ke Beech.
Jyadatar Khudh Me Khoyi Rehti Thi Kisi Se Koi Matlab Nahi. Padne Likhne Ka Alag Sa Junun Tha Usme.
Ya Sayad Exams Me Ache Number Lana Cahati Thi, Isliy Kitabo Ke Sath Hi Apna
Jyadtar Waqt Bitati Thi. August Ka Mahina Tha Aur Ek Bar Fir Se, Baddlo Ne Dubone
Ki Than Li Thi. Fir Se Ek Bar Hum Agal Bagal The, Ped Ke Neeche Khade Hokar
Barish Ke Thamne Ka Intezar Kar Rhe The.
Are Aj To Chain Chadi Hui Hai
Tumhari Cycle Ki Maine Hi Toka Tha Usko.
Ha Fir Se Na Utar Jaye Isliye Darti Hu Usne Bhi Haste
Hue Kha.
Papa Ne Thik Nahi Karai, Maine
Chidate Hue Kaha Usko.
Usne Bhi Chidate Hue Bola, Tum
Kis Liye Ho Yahan.
Chod Du Ghar Tak, Maine
Hi Pucha Tha. Waise Barish Ka Kuch Pata Nahi Kab Rukegi.
Wo Kuch Der Shant Rahi Fir
Boli, Thik Hai.
Aur Hum Dono Barish Me Hi Apni
Apni Cycle Par Sawar Hokar Uske Ghar Ki Oar Chal Pade.
2Km Ka Safar Humne Adhe Ghante
Me The Kiya. Aur Inhi 2 Km Tak Ke Safar Me Bachpan Ki Dosti Ho Gayi Ho Jaise.
Mummy Papa, Bhai Behan, School Bachpan, Khawb Hakikat Sab Bate Kar Dali.
Usko
Chodte Hue Laga Mano Abhi Kitna Kuch Kehna Baki Reh gya Tha. Wo apne Ghar Chali
Gayi Thi, Lekin Aisa Laga Mano Apna Kuch Chod Gayi Thi Mere Pass. Mai Aise Ghar
Lauta Mano Badlo Par Sawar Ho Jaise, Barish Apne Peeche Khawo Ki Gili Zameen
Chod Gayi Ho Jaise. Ghar Pahucha Tab Bhi Lag Rha Tha Ki Acha Hota Ki 20 KM Ka
Safar Hota, Aur Barish Thamti Hi Nahi. Aur Ek Dushre Ke Sath Chalte Rehte , Is
Tarah Dher Sara Waqt Ek Duhre Ke Sath Bitaya Ja Sakta Tha. Thodi Der Ek Dushre
Ko Dekhte Aur Chup Ho Jate, Is Tarh Milne Ki Hairani Kayi Bate Humare Beech Aakar Baith Jati, Un Bato
Ko Lekar Hum Kisi Coffee Shop Par Bhi Ja Sakte The Sath Me, Aur Inhi Hairani Bhari
Mulakato Ke Beech, Pyar Hone Ka Guman Bhi Hota Sayad.
Aur Thik Bahi Hua Jiski Mujhe
Khawish Thi,Mai Na Jane Kab School Se Wo 2Km Tk Ka Safar Roz Teh Karne Laga. In
Safar Ke Beech Hum Kabhi Pani Puri Ke Thele Par Ruk Jate, Ya Sadak Ke Kinare
lage Garma Garam Bhunte Ke Thele Par. Aise 6 Mahine Kab Nikal Gaye Maloom Hi
Nahi Chala. Maine Ek Din Plan Banaya Ki Aj Inhi 2 Km Ke Safar Me Naina Se Apne
Dil Ki Baat Keh Dunga. Maine Ye Baat Apne Sabse Kareebi Dost Shanu Ko Batai, Bo
Hairan Hokar Bola Abe Maznu Kabse Ban Gaya Awargi Chod Ke. Maine Usse Kaha Abe
Jo Keh Rha Hu Bo Kar, Maine Usse Kaha Ja Jaldi Se Pados Bali Market Se Ek Rose
Pack Kara Kar leaa, Aur Mere School Ke Pass Bale Chaurahe Tk Pahuchne Se Pehle,
Mujhe Rose Lakar De.
Usne Ye Sab Karne Me Jyada der
Nahi Lagai, Aur Mere Wahan Pahuchne Se Pehle Hi Mujhe Rose Lakar De gaya.
Sayad Dosti Isi Ko Kehte Hai.
Par Haseen Dino Ko Pankh Lage
Hote Hai Na, Aur Unhe Udte Rehne Ki Betabi Hoti Hai.
Maine Naina Se Kaha Suno
Mujhe Tumse Kuch Kehna Hai.
Bo Boli Achaa, Par Tum Apni
Bat baad Me Kehna Pehle Meri Baat Suno. Kal Se Tumhe Sath Me Ana Nahi Padega,
Maine Pucha Kyu.
Wo Boli Aj Mera Akhiri Din Hai
Yahan Dilkash Sehar Me. Kal Se Hum Log Shimla Shift Ho Rahe Hai, Ye Sunte Hi
Aisa Laga Jaise Hatho Se Sab Kuch Choot Gaya Ho Achanak. Aur Dil Ke Itne Tukde
Ho Gaye Ho Ki Unhe Samet Pana Bhi Mushkil Ho. Jo Gulab Ka Phool Mai Pyaar Se
Pakad Ke Usse Chupa Raha Tha, Itna Sab Sunne Ke Baad Usi Gulab Ke Kanto Se
Khudh Ka Hath Is Tarh Gayal Ho Gaya Aisa Lag Rha Tha Dil Ka Jakham Hatho Me
Dikhne Laga Ho Jise. Wo Gulab Ka Phool Mere Hatho Se Choot Kar Bahin Sadak Par
Gir Gaya. Tabhi Naina Ne Kaha Are Tum Kuch Kehne Bale The, Maine Kaha Ab Kehne
Ko Reh Hi Kya Gaya. Wo Boli Matlab,
Maine Kaha Kuch Nahi. Acha Mai Ab Ghar Ja Mujhe Thoda Kaam Hai, Tum Chali Jao. Bas Itna Keh Kar Mai Wahan Se Chala Gaya.
Naina Ki Khawisho Ki Namurad
Duniya Me, Meri In Betuki Khawisho Ka Koi Matlab Nahi Tha. Naina Ke Aage Ek
Lamba Rasta Tha, Aur Mai Us Raste Par Galti Se Mil jane Bala Ek Mushafir Bhar
Tha. Uski Manzil Kahin Aur Thi, Uske Khwab Kuch Aur. Aur Inhi Khwabo Ko Pura
Karne Ke Liye, Ek Din Wo Dilkash Sehar Chodkar Shimla Chali Gayi.
Agali Subha Shanu Ne Pucha Kya
Hua Maznu Rose Diya Ya Nahi Diya, Kya Kaha Usne Bata To Sahi. Maine Kuch Nahi
Kaha Aur Apni Seat Par Jakar Baith Gaya. Usne Fir Akar Zid Kari, Aur Bola Naina
Kyu Nahi Ayi Aaj Kya Hua Tum Dono Ke Beech. Maine Ek Pal Ke Liye Gehri Sans Li
Aur Kaha, Wo Ye Sehar Chodkar Shimla Chali Gayi. Mere Udas Chere Aur Nam Ankho
Ko Dekh Kar Shanu Ne Taslli Dete Hue Kaha, Contact Number To Hai Hi Aur
Whatsapp Zindabad.Number Band Hai, Aur Whatsapp Account Bhi Delete Hai.
Naina Ke Bina, Agle 6 Mahine
Bhi Beet Gaye. Barisho Ka Mausam, Ek Bar Fir Se Dastak De Gaya Tha. Mai Har Din
Subh, Us Chaurahe Par Akar Ruk Jata Tha. Jahan Se Hum Dono Wo 2 Km Ka Safar
Sath Me Teih Karte The.
Badi Mushkil Se Samajh Me Aaya
Ki Uske Pyar Me Khudh Ko Is Kadar Saup Chuka Tha, Ki Khudh Ko Samet Pana
Mushkil Tha. Shanu Mujhe Toot te Bikharte Dekhta Raha, Aur Usi Ki Zid Par Maine Bhi
Dilkash Sehar Ka Wo School Chodkar Dusre School Me Admission Le Liya.
Kuch Din Baad Ek Sham, Maine
Na Jane Kya Soch Kar Shanu Ko Call Laga Di. Jaise Akashvani Hui Thi Ya Ander Se
Awaj Aayi Thi, Ki Ab Aur Nahi. Jindgi Udash Shamo Ke Hawale Nahi Ki Ja Sakti,
Aur Na Koi Aisa Rasta Hai Jise Badla Na
Ja Sake. Barishe Gir Kar Cali Jaya Karti Hai, Mausam Badalte Hai Aur Dhoop Bhi
Kabhi Teekhi Kabhi Meethi Lagti Hai. Fir Yaado Ke Mausam Kyu Nahi Badal Sakte.
Bahut Der Ghanti Bajne Ke Baad, Shanu Ne Phone Uthaya. Aur Bola Ha Maznu Bol,
Yakeen Nahi Ho Rha Tera Phone Bhi Ayega. Maine Kha, Chal Yaar Kahin Chal Rahe
Hai Ghumne. Usne Bola, Kha Shimla. Maine Bola Abe Nahi. Usne Haste Hue Bola Ek
Baar Fir Dil Tudba Lena Aur Kya. Maine Kaha Ab Aur Nahi, Chal Pehle Ki Tarh
Ghumne Chal Rahe Hai. Bo Bola, Fir Bol Zara Such Keh Raha Hai. Maine Kaha Haan
Ab Kya Basiyat Bana Ke Du Kya, Aur Party Meri Tarf Se. Usne Fir Chidate Hue
Bola, Party Ya Breakup Party By Maznu. Maine Kaha Jo Samjh Le. Bo Bola, Bahar
Nikal Aaya Mai. 5 Minute Ke Andar, Bo Ghar Ke Bahar Khda Tha. Apni Purani
Khatara Pulsar Liye. Aur Ek Bar Fir, Do Dost Apni Awargi Me Wapas Aagye. Bas
Itni Si Thi Ye Kahani.
Written By Ranjeet Kumar
Sharma
No comments:
Post a Comment